Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kyun





Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kyun
Jo tu nahee hai to phir tera intezaar bhi kyun

Akelepan ka safar jab mera muqaddar hai
To phir ai waada shikan teri rehguzaar bhi kyun

Usey ganwa ke raho ab khizaon ki zad mai
Jo wo nahee hai to phir mausam-e-bahar bhi kyun

Agar bhulaye huye usko aik umr hui
To phir yeh aaj tabiyet hai sogwaar bhi kyun

Wo jin labon pe yaqeene wafa mehek na sakey
Phir unke lams ki khahish ho aik baar bhi kyun

Jab usko shauq tha raston ki dhool honey ka

Palat ke dekhta jaata tha baar baar bhi kyun

0 comments:

Post a Comment

About this blog