Showing posts with label Sad Sharyee. Show all posts
Showing posts with label Sad Sharyee. Show all posts

Gham kya hota hai Koi bata de mujhko


~~~ tumharay dum se ~~~

Aapki Yaad Phir Aaj Aane Lagi..

Aapki Yaad Phir Aaj Aane Lagi..

Aankh Phir Aasoowon Ko Chupane Lagi

 Aapka Naam Leker Hamesha Yahaa

Mehal Apne Ye Duniya Banane Lagi

  Muflisii ka Yahaa Aaj Ye Haal Hai

Jho Hai Oda Usii Ko Bichane Lagi

  Hum Fakiron Ka Jane Makaddar Hai Kya

Her Kadam Mushkile Ser Utane Lagi

 Aadmi Ki Garaz Bad Gayee Yu Ki Ab

Aadmiyath Jahaa Se Mitane Lagi

  Aasmaa Ab Kare Kuch Tho Mumkin Ho

Ye Zamee Haath Khali Dikhane Lagi

  Bair Duniya Ko Na Jane Kya Mujhse Hai

Meri Aankhon Se Sapne Churane Lagi

Tab "roja" Ko Aaker Laghe Poochne

Saans Jab Usse Dhaman Churane Lagi..

(Gazals) parwaaz


Ek Din Mila Woh Mjhe.


Har Sham Terey Yaad Jalatey Hue Deekho.


I'll be there for you



 I'll be there for you







When you are going through things 
and you don't know what to do 
always remember 
I'll be there for you.

When your life seems so empty 
and you haven't got a clue
always remember 
I'll be there for you

When you need that shoulder to cry on 
because you feel so blue
always remember 
I'll be there for you

I love you baby so much 
I hope you know this is true
and always remember 
I'll be there for you.


 

Bhool



Bhool




Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon
Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon
Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon
Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon.






BOHAT DINO KI BAAT THI............

Bohat dino ki baat thi
shabab per bahar thi
fiza bhi khushgawar thi
na jaane kioun machal para
main apne ghar se chal para
kisi ne mujh ko rok ker
bari aada se tok ker
kaha ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
magar mujhe khabar na thi
mahaul per nazar na thi
na janey kioun machal para
main apney ghar se chal para
phir shehar se main aa gaya
khayal tha ke paa gaya
usey jo mujh se durr thi
magar meri zaroor thi
phir ik haseen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh ker
naye tarang dekh ker
mujhe bari khushi hui
mujhe bari khushi hui
main kuch isi khushi main tha
kisi ne bahir jhank ker kaha
paraye ghar se jayyee
meri qasam na ayyee
meri qasam na ayyee
wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hoon ghar ko chor ker
na janey jaoon ga kidhar
koi nahin jo rok ker
koi nahin jo tok ker
kahay ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee 

Kaash!!!


Woh Jab Bhi Mujh Say Milti Thi
Har Baar
Ekk Masoomiyat Say
Poocha Karti Thi
Ke Tum Mairey Hi Ho Na?
Aur Main Har Baar
Uss Ke Chehrey Ko Choo Ke
Qasam Khaya Karta Tha
Par Kaash!!!
Mainey Aik Baar Hi Uss Say Poocha Hota
Ke
Tum Mairi Hi Ho Na???

Sirf Tumharey Liye


Sirf Tumharey Liye


Mujhay bas itna kehna hai
Kabhi main yaad aaoon to
Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein to
Kabhi titli na bolay to
Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray tasawwur se
Jo chaho batain keh dena

Meray kaandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya chalay jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamain dil se pukaro gay

Hamain tum saath pao gay.......

TUM BIN


TUM BIN
 
 
Tum bin man ki baat adhuri
Din hain adhure raat adhuri
Tum bin man ki baat adhuri

Tum bhi pyaase main bhi pyaasi
Yug se lambi pal ki udasi
Aa hi gaye naino mein saawan
Phir bhi hain barsaat adhuri
Din hain adhure raat adhuri
Tum bin man ki baat adhuri

Meri kabar pe aake tum awaaz nahi karna

Meri kabar pe aake tum awaaz nahi karna
Dard ki nayii daastan ka aagaaz nahi karna...


Apni bebassi ko khud hii byaan karega ye
Chehre ko kisi aaine ka mohtaaj nahi karna...
Raaz Jo khud se hii na chhipaa paao tum
Aise raaz mein kisi ko hamraaz nahi karna...
Namumkin hai haqikat ke aasman mein urnaa
Khaabon ke sahare isme parwaaz nahi karna...
Zakham phir zakham hain ek roz bhar jaynge
Husan wallon ko inke charasaaz nahi karna...
Khaakh se bane ho khaakh mein mil jaaoge

Mein hoon tera khayal hai aur chand raat hai


Mein hoon tera khayal hai aur chand raat hai
Dil dard se nidhaal hai aur chand raat hai
Aankhon mein chubh gayein teri yadon ki kirchiyan
Kandhon pe gham ki shaal hai aur chand raat hai
Dil tor ke khamosh nazaron ko kiya mila
Shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai
Phir titliyan si urne lagein dasht-e-khuwaab mein
Phir khuwahish-e-wisaal hai aur chand raat hai
Campus ki nehar per hai tere haath haath mein
Mausam bhi lazawal hai aur chaand raat hai
Har aik kali ne orh liya matami libaas
Har phool per malaal hai aur chand raat hai

About this blog