zindagi_ke_safar_main_urdu_world_copy.jpg

Follow your heart

Follow your heart

You've always told me "Follow your heart"
But I wouldn't know where to start
My heart is telling me to pursue something
That would break the world's rules of living

You've always told me "Follow your heart"
Helps me when everything has gone dark
If I do what my heart tells me to do
I wouldn't be ready to lose you

You've always told me "Follow your heart"
I can't do that, I don't want us to be apart
I can't see our friendship ending
But I can't go on pretending

You've always told me "Follow your heart"
But will my heart lead us apart?
Or will my heart bring us together?
I would want to be with you forever

You've always told me "Follow your heart"
One day, I will and I know where to start
I don't understand why God would let us meet
If there was no way for us to be 

Yeh Muqadar Ka Likha Hay*~


Yeh Muqadar Ka Likha Hay*~

Main ne har kanta
Teri rah ka palkon se chuna
Loog kahte hain
Main dushman houn tera
Tu ne suna
Jane kiya soch k har zulm
rawa rakha hay
Kiya main pathar houn jo
 Qadmon main saja rakha hay
Main ne rakha hay faqat
Apni mohabbat ka bharam
Warna harjayi tere pyaar main
Kiya rakha hay
Bewafayi ka gila lab pe
Naheen laoun ga
Tu muqadar main naheen
Dil ko yeh samjhaon ga
Haal dil sunne ki shayad
Tujhye fursat na mile
Teri duniya se bohot
Duur chala jaoun ga
Yeh muqadar ka likha hay
Koy takraar naheen
Meri kismat main kaheen
Saya_e_diwaar naheen
Ab main tuj se bhi
Anayat ka talabgaar naheen
Yeh gunah sab se bara hay
K gunahgaar naheen

*Ab Yahan*~


*Ab Yahan*~


Ab yahan koy naheen koy naheen aye ga
Dil_e_tanha gham_e_ tanhayi main dhal jaye ga
Ab yahan koy naheen koy naheen aye ga
Yeh haseen chand hay ya deda hayraan koy
Yeh mera dil hay k hay mehfil_e_veraan koy
Zindagi hay k yeh hay zulf_e_parishan koy
Koun is uljhi huy zulf ko suljhaye ga
Daastaan khatam mere dard ki ho jaye gi
Sath hi tere teri yaad bhi kho jaye gi
Muntezir aankh bhi thakh haar k so jaye gi
Raat ka akhari aansu bhi chalak jaye ga
Ab yahan koy naheen koy naheen aye ga

Sagar jasi*~


Sagar jasi*~

Sagar jasi baat kiya kare koy
Khumaar k sahare jiya kare koy

Gah bey gah meh samjh kar
Ashkon k peyale piya kare koy

Sham ufaq ki dastaan sun kar
Nadani main zakham siya kare koy

Yun khelte khelte na KHUDA
Mere safine dabo diya kare koy

Saman hum bhi ho jayeen nayab
Rang_o_alam pare kiya kare koy

Yaqeen,

Yaqeen,



Yaqeen nahi k wo hur pari hai,
Phir meri nazr us pr kyun pari hai,

Baatain karti hai wo dusron k sath,
Muj se to aisy he dour khari hai,

Yaqeen ki had k pas pas,
Main ne baat ki b khari hai,

Main us ko boht chahny lga hon,
Laikin wo is jhanjhat se bari hai,

Daikhti ho gi wo b mujy aisy he,
Pakri main ne us ki chori hai,

Nazr milny pr ghura us ne,
Ghabra kr muj se dhori hai,

Us se mera ye kehny pr,
Wo muj se lag k ro pari hai,

Kaha us ne kitabon main parha tha,
K dil ko samjana mushkil bari hai,

Ab mery sath sath rehny lagi hai,
Muskan meri zindgi ki khubsurat ghari hai.

Its my own poetry

*KHUDA Kare k Mohabbat Main Woh Muqam Aye*~


*KHUDA Kare k Mohabbat Main Woh Muqam Aye*~

KHUDA kare k mohabbat main
Woh muqaam aye
Kisi ka naam loun
Lab pe tumara naam aye
Tumara pyar mere gesuon ki uljhan ho
Tumare naam se dil ka cherag roshan ho
Nazar nazar se mile zulf le k shaam aye
Kisi ka naam loun
Lab pe tumara naam aye
Jahan talak yeh haseen gungunati raat chale
Nazar nazar se mile dil se dil ki baat chale
Hamare dil ki tarap aaj kuch to kaam aye
Kisi ka naam loun
Lab pe tumara naam aye
Mere khayalon ki tasveer hou ba hou tum ho
Mere hazoor nigahoon ki aarzu tum ho
Nazar uthe meri janib koy salam aye
Kisi ka naam loun
Lab pe tumara naam aye

*Meri Duniya Aap Hain*~


306~*Meri Duniya Aap Hain*~

Ho tamanna aur kya
jane tamanna aap hain
Kya karon gi le k duniya
Meri duniya aap hain
Sharm ati hay mujhye
Apne se bhi kahte huwe
Aap se kaise kahoon
Mere liye kiya aap hain
Aap se pahle nazar main
Kuch na tha apne siwa
Ab jidar bhi dekhti houn
Jalwa parwa aap hain
Ho tamanna aur kya
jane tamanna aap hain
Kya karon gi le k duniya
Meri duniya aap hain

CHAHAT KA ASHIYAN

CHAHAT KA ASHIYAN  


CHAHAT KA ASHIYAN BANAYA  
USKA MANDIR TERI MURAT SE SAJAYA 
TERE INTJAAR MAIN HAR LAMHA BITAYA
TERE LIYE HAR KHUSHI O GAWAYA 
KABHI RANJHA BANA KABI ISS JAHAN NE MAJNU BANAYA
KISI NE TUHE HEER KISI NE TUJHE LAILA BATAYA 
PAR MAINE TUJHE ISS JAHAN SE JUDA BATAYA 
JISSNE BHI POOCHA MUJHE TERE BAARE MAIN
MAIN TUJHKO APNA KHUDA BATAYA

"Kuch Khone Ko Ji Chahta Hai""


"Kuch Khone Ko Ji Chahta Hai""
Kuch khone ko ji chahta hai,

Aaj rone ko ji chahta hai..
Jagte mein sab dekh liya yaro!

Ab sone ko ji chahta hai..
Teri aankh mein apna aks dekh ker,

Kajal honey ko ji chahta hai..
Chandni dekh ker humein bhi,

Chand hone ko ji chahta hai..
Subah se bohat hass liya ke,

Aankh bhigone ko ji chahta hai..
Wo bohat pyara hai magar ab,

Juda hone ko ji chahta hai..
Tere Dagh-e-Dil dekh ker Jaana!! Apne

Dagh dhone ko ji chahta hai..

Dil ka sheesh jab tuta too uske tukde hazaar ho gaye


Dil ka sheesh jab tuta too uske tukde hazaar ho gaye
har tukde  me  tanha the or tum kho gaye
in tukdon  ko  smet lunga main par
un fanslon ka kya jo hum dono ke beech ho gaye

main chahun to bhi ye bhool nahi sakta
khushi me unke  sang pal beet jo gaye
aaj bhi meri aankho mai unki tasvir hai,
tab bhi thi jab hume chhod door wo gaye

AE DIL ZRA TU YE BATA


AE DIL ZRA TU YE BATA
*****************
AE DIL ZRA TU YE BATA KAHAN DHUNDU MAIN UNKO
YE MERI AANKHE YAAD KARKE RO RAHIN HAIN JINKO 

Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai

Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai

Har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai
Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya
Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain

kuccha lamhe jo gujare humne unke saath....
to phir kabhi khudse baat na ho saki....
bewafa to yeh taqdeer nikli....
ke phir kabhi mulaqat na ho saki!!!!

Is se pehle ki dilo me nafrat jaage, aao ek shaam mohabbat me bita di 
jaye....
Karke kuch mohabbat ki baatein,
Is shaam ki masti badha di jaye.

wo aksar rula jaate hain mujhe apni baaton se

wo aksar rula jaate hain mujhe apni baaton se 

chhod dete hain mera haat pane hathon se 

main chahta hun unko wo jaante hain magar
bilkul pata nahi lagta mujhko unki baaton se 

main sochta hun wo dhur ho gaye hain mujhse
jaise sanata dhur ho jata hai aahaton se
wo mere hain yan nahi socha hun kuch baaton se
wo mere paas ayain ge kya main puchta hun in raaton se

AAN MILO SAJANA


AAN MILO SAJANA
Muddat ye beet gae tum nahi aay ab tak
Raasta or dikhaoo gay na janay kab tak
Jo bhi milta hai woh tum sa hi nazar aata hai

Dil ki tanhaeeyan bahlati hai yu bhi hum ko
Jasay saach mooch hi pokara ho tum hi nay hum ko
Pass aatay hi mager khab beekhar jata hai
Jo bhi milta hai woh tum sa hi nazar aata hai

Woh haseeen lamhay jo kal taak thaay muradoo ki tarha
Aaj palkoo pe chamak uthtay hain yaadon ki terha
Dard rah jata hai or waqt guzer jata hai
Jo bhi milta hai woh tum sa hi nazar aata hai

Bhajtay ho kabhi gul ko to kabhi shabnam ko
Tum kaha aasay ho malum hai har masam ko
Chand har shab ko tumharii hi khaber lata hai
Jo bhi milta hai woh tum sa hi nazar aata hai

Pyaar..


Pyaar...

main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta 
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta

chahata hoon main tujhe aaj bhi par 
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

chahata hoon main tujhe aaj bhi par 
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri 
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main 
tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim 
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta

About this blog