Aye ishq kahiin le chal is paap ki basti se


Aye ishq kahiin le chal is paap ki basti se
Nafrat gaye aalam se lanat gaye hasti se
In nafs parastoo se, is nafs parasti se
Door aor kahiin le chal
Aye ishq kahiin le chal
Hum prem pujari hain tu prem kanahiya hai
Tu prem kanahiya hai , ye prem ki naiiya hai
Ye prem ki naiiya hai , tu is ka khivaiiya hai
Kuch fikr nahi le chal
Aaye ishq kahiin le chal
Be rahm zamane ko ab chod rahe hain hum
Be dard zamane ko ab chod rahe hain hum
Jis aas pe jiite the, ab tod rahe hain hum
Ab taab nahi le chal
Aaye ishq kahiin le chal
Ye jabr kadah aazad afkaar ka dushman hai
Ahraar ka dushman hai , abraar ka dushman hai
Ashrar ka maskan hai , akhiyaar ka dushman hai
Chal yaan se kahiin le chal
Aaye ishq kahiin le chal
Aankhoo tale phirti hai ek khawab numa duniya
Taroon ki tarah roshan mehtaab numa duniya
Jannat ki si sar sabz aor shadab numa duniya
Lillah wahiin le chal
Aaye ishq kahiin le chal
Sansaar ke us paar ek is tarah ki basti ho
Jo qarno se insaan ki surat ko tarasti ho
Aor jis ke manazir per tanhaai barasti ho
Yun ho to wahi le chal
Aaye ishq kahiin le chal
In chand sitaroo ki bikhre shahroon mein
In nor ki kirnoo ki thahri hoii lahroon mein
Thahri hoii lahroon mein , soii hoi lahroon mein
Aaye khizr haseen le chal
Aaye ishq kahiin le chal
Aaisi bahot aaiin e wadi mein pahonch jaayen
Jis mein kabhi duniya ke gham dil ko na tadpayen
Aor jis ki baharoon mein jiine k maze paayen
Le chal tu wahiin le chal
Aaye ishq kahiin le chal 




kya mila mujhko yun rulake tujhe.....


kya mila mujhko yun rulake tujhe.....




as slamu ale kum
kya mila mujh ko yun rula ke tujhe
dil ke tukde mere banake tujhe


toot ke mei bikhar gayi hun sanam,
kaise simtun ye bataa de muje


pyaar mera meri chaahat tu
kyu samajhna paya ye btade mujhe


rooz mujko rulaya tadpaya
aur hasta raha kun bata de muje


kya mohabbat mai gum hi milte hai
koi to aake ye batade mujhe

Aye Dard Tum Wahi Thamm Jana


Aye dard tum wahi thamm jana,
Unke teer abi baki hai,
Nishana kahin chuk na jaye unka,
tumhari is naadani se,
lahoo me hai jo sajana humko,
Ek adhura sapna unka reh jayega..
Aye dard thu wahi thamm jana,
Unke teer abi baki hai..

Adhoora Pyar



Suno...

Chaahe Tum Sath Na Dena...
Mujhe Beshak Bhool Jaana,

Naye Sapne Saja Lena...
Naye Rishte Bana Lena,

Bhula Dena Sabhi Waade...
Sabhi Kasmein Sabhi Naate,

Tumhein Ye Ijaazat Hai.....
Jo Dil Chaahe Wo Sab Karna,

Magar...Ab Tum Kisi Se Bhi....
Adhoora Pyar Na Karna,

O Bhoolne Waale....Kisi Se...
Adhoora Pyar Na Karna...!!!

Maine To Tumse Pyar Kiya Tha




Maine To Tumse Pyar Kiya Tha
Dil Jaan Apna Tum Pe Nissar Kiya Tha

Chorhogi Na Saath Mera Saari Zindagi
Wafa Ka Tumne Bhi Ikraar Kiya Tha

Hamne To Tumhari Rahon Par Phool Bichaye The
Un Rahon Ke Kaante Apne Haathon Se Uthaye The

Magar Ey-Bewafa Tune Meri Wafa Ka Kya Sila Diya
Gair Ki Khatir Mujhko Dil Se Bhula Diya

Main Koun Hoon Tumhara Jo Mujhe Yaad Karo Tum
Apne Do Aansoo Bhi Mujh Par Barbaad Karo Tum

Khud Ki Naav To Kinaare Par Laga Li
Mujhe Beech Manjhdhaar Main Hi Chod Diya

Is Dil Main Jo Basa Tha Pyar Tera
Maine Bhi Us Dil Ko Hi Tod Diya

Jo Gali Tere Ghar Tak Jaati Thi
Us Gali Se Hi Maine Mooh Morh Liya

Badnaam Na Ho Jaaye Tu Dunia Main Kaheen
Isliye Tera Naam Lena Hi Chod Diya

Jab Kabhi Bhi Yaad Aayegi Tumhari
Samjhain Ge Kabhi Tumhe Chaha Hi Nahi

Jab Bhi Tum Rahon Main Nazar Aayogi
Sochainge Tumhe Dekha Hi Nahi

Tu Jahaan Bhi Rahe Sada Khush Rahe
Tujhe Dil Se Main Bhula Raha Hoon

Tere Pyar Ki Jo Haseen Yaadain Hain Dil Main
Un Yaadon Ko Louta Raha Hoon

Tumhari Bewafai Ka Kya Charcha Karoon
Apni Wafa Pe Sharma Raha Hoon

Mujhe Tumhari Bewafai Se Koi Shikwa Nahi
Main Tumhari Zindagi Se Ja Raha Hoon

About this blog