Sham k ujalon pr......

Sham k ujalon pr......

Apny narm hathon se
Koi baat achi c.......
Koi khawab sucha sa
Koi bolti khushbu......
Koi sochta lamha.......
Jab b likhna chaho gy
Soch k dareechon se
Yaad k hawalon se......
Mera naam chupky se
Tm ko yaad aay ga....
Hath kanp jayen gy
Sham thehr jay gi..........
Meri yaad aay gi......
Meri yaad aay gi...........

Jin Pe Hum Ne Kiye The Bharose*~


Jin Pe Hum Ne Kiye The Bharose*~

Wahde kar k sanam kyun na aye
Pyaar k khub wahde nibhaye
Jin pe hum ne kiye the bharose
De gaye dhokhe hum ko woh haye
Shisha tutye to ek shoor uthey
Dil jo tutye sada tak na aye
Dil main shole bharakne lage hain
Dar hay daman kaheen jal na jaye
Wahde kar k sanam kyun na aye
Pyaar k khub wahde nibhaye

Do PYase Dil*~


Do PYase Dil*~

Do pyase dil aik huwe hain aise
Bichare ge ab kaise
Tum pyaar mujhye karte hi rahna
Sari umar tum aise
Ek douje main kho jate hain
Nadiya sagar jaise
Tuj se hay yeh zindgani
Tuj se hay jiwan kahani
Tuj se hay sanj aur sawera
Sathi kabhi tu na ruthe
Rasmon ki diwaar tutye
Tutye na bahoon ka ghira
Mere sanam teri kasam
Tuj se hay wahda yeh mera
Aise raheen ge
nain aur nindea jaise
Qadmon tale har khushi hay
Kitni haseen zindagi hay
Jiwan yunhi beet jaye
Aankhon k tu roeberoe hay
Dekhon jidhar tu hi tu hay
Tuj bin nazar kuch na aye
Hay zindagi humain kabhi
Zamana judaa kar na paye
 Aise raheen ge
phool aur khushbo jaise

Dil yeh kahta hay



Dil yeh kahta hay
Eid tum ne khub manayi ho gi
Bhula kar pardees ko
Mehfil eish bhi sajayi ho gi
Bichre huwe is badnaseeb ka
Khayaal bhi aya ho ga
Jab maang tum ne apni sitaroon
Se sajayi ho gi

Chand lamhe mazi ki yaad main
Khoye to ho ge
Jab aiyne ko tum ne shakal apni
Dekhayi ho gi
Do aansuon ne bhi rukh_e_zeba ko
Chuma to ho ga
Guzri huy yaad Eid jab tum ko
Ayi ho gi
Jab kahi apnon ko tum ne bhi
Milte to dekha ho ga
Tasawour main tasveer tum ne
Bhi banayi ho gi
Eid ka din hay
Khushyon main gum kar lo khud ko
Yeh samjh kar k is main bhi
Bahlayi ho gi
Tum khush raho ge idar bhi ho ga
Sukh naseeb
Warna samjh lo yeh aankh
Yahan bhi bhar ayi ho gi
Kismat ko jo huwa manzoor
To ho ga kabhi wasaal Eid
Is din chaand sitaroon ne bhi
Mehfil sajayi ho gi
Hans kar zara ab tasawour
Feda main chale aoo
Jab samjh lo k ab main ne
aankh melayi ho gi

Qaum K Paas Agar Thora Sa Mind Hota*~


Qaum K Paas Agar Thora Sa Mind Hota*~


Qaum k paas agar thora sa mind hota

Hukamran apna na asa bhi blind hota

Jab bhi woh hans k mila karta mujhye farhatje

Kuch na kuch peeich zaroor is k behind hota

Tu bhi aankhon main liye phirta kisi dard ki reet

Tera bhi khawab mere dukh main grind hota

A gaya hota agar aik bhi aankhon wala

Sheher ka sheher to aise na blind hota

Mahirbanon k nagar main,main khara sochta houn

Kaash woh shaks bhi mere liye kind hota

Mein hoon tera khayal hai aur chand raat hai


Mein hoon tera khayal hai aur chand raat hai
Dil dard se nidhaal hai aur chand raat hai
Aankhon mein chubh gayein teri yadon ki kirchiyan
Kandhon pe gham ki shaal hai aur chand raat hai
Dil tor ke khamosh nazaron ko kiya mila
Shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai
Phir titliyan si urne lagein dasht-e-khuwaab mein
Phir khuwahish-e-wisaal hai aur chand raat hai
Campus ki nehar per hai tere haath haath mein
Mausam bhi lazawal hai aur chaand raat hai
Har aik kali ne orh liya matami libaas
Har phool per malaal hai aur chand raat hai

About this blog