U s ne mujy tanhai ke saza dey dali.


Woh mohabbat ko peristish ka maqam daita tha
Aur guzrey qisson ko ibadat ka darja samajhta tha
Kehta tha mohabbat main koi garz posheeda naheen hoti
Mohabbat to begarz aur la-fani hoti hai
Kuch ajeeb falsafa mohabbat main us ka tha k
Woh meri mohabbat ka talib bhi tha
Aur mein usey matloob bhi na thi
Kehta tha k mai us ki rooh main jazb hoon aise
K mujh ko paney ki us ko hasrat bhi naheen
Ajeeb shakhs tha kuch ajeeb se us ki kahani thi
Yeh daur ab aisi mohabbaton ka naheen raha
Millan k baghair mohabbaton ka kia tassawur hai
Deed k baghair chahatoon ka kia rang hai
Yeh daur to faqt aghraz pe mabni hai
Meri mohabbat bhi sirf char din ki kahani thi
Koi gaari aik hee station pe hamesha naheen rukti
Waqt k sath khayalat badaltey jatey hain
Mohabbat baqi rehti hai mehboob badalte jate hain
Mein ne chaha key khayalat us k badal daalon aur
Mohabbat ki haqeeqi tasweer dikha doon us ko
Woh mohabbat ka pujari tha mai ne
Us ko tanhai ki saza dai daali
Mujhey yaqeen hai woh sota to ho ga magar
Neend us ki ankhoon mein na utarti ho gee
Mehfal mai woh muskarata to ho ga magar
Us tabassum men ik tees see uthti ho gee
Ankh main aansoo to nazar na atey hon gey
Palkoon taley ik barish zaroor hoti ho gee
Meri yaad to us ki khon ki gardish k saath thi
Dil dharakta to ho ga magar ik aah bhi nikalti hoo gee
Kion sochti hoon yeh sab kuch main
Jo ta'alluq tha woh to maine tor dia
Woh zinda rahey na rahey mujhe us se kia
Us ki sans rukey ya chaley mujhey kia lena
Merey liey to faqt yehi kaafi hai k
Mai aik dunia dar larki aur
Woh ......????????

0 comments:

Post a Comment

About this blog