Teri baatein hi sunaane aaye,

Teri baatein hi sunaane aaye,
Dost bhi dil hi dukhaane aaye,
Phool khilte hain to hum sochte hain,
Tere aane ke zamaane aaye,
Aisi kuchh chup si lagi hai jaise, 
Hum tujhe haal sunaane aaye,
Ishq tanhaa hai sar-e-manzil-e-Gam, 
Kaun yeh bojh uthaane aaye,
Ajnabi dost hamein dekh ke hum,
Kuchh tujhe yaad dilaane aaye,
Dil Dhadakataa hai safar ke hangaam,
Kaash phir koi bulaane aaye,
Ab to rone se bhi dil dukhtaa hai,
Shaayad ab hosh Thikaane aaye,
Kyaa kahin phir koi basti ujadi,
Log kyoun jashn manaane aaye,
So raha maut ke pahalu mein ,
Neend kis waqt na jaane aaye. 

0 comments:

Post a Comment

About this blog