<><><> GHAZAL - Self Composed <><><>


MILA HAI DUNIYA SE HAR SILA MUJHKO 
BAKHSH DE TANHAI YA KHUDA ! MUJHKO 
  
HARF-HARF ZAROORI NASEEHAT HAI AGAR 
NEEND MEIN CHALNA BHI TU SIKHA MUJHKO 
  
SUNA GHAIRO(N) SE HI FASAANA TUMNE 
APNI AANKHO(N) SE KAB PADAA MUJHKO 
  
SAFFHAAT  HAIN BAQI ZINDAGI  KE  ABHI 
KASH ! FIR DE KOI RANG NAYAA MUJHKO 
  
YE SACH TO HAI MAGAR WO BAAT AB NAHEEN 
INTZAAR  KABHI  THA  KISI  KA  MUJHKO 
  
ADAA SHUKRIYA KAROON MEIN KAISE USKA 
NEMATE(N)  KI  JISNE  SAB ATAA  MUJHKO 
  
HARF-HARF ZAROORI SHIKAYAT TO NAHEEN 
MILE HAMDAM KOI AB NAYAA MUJHKO 
  
KAB,KAHAAN,KISLIYE,KYON,MAGAR,KAISE 
HAR JUSTJOO KA DE HAUSLAA MUJHKO 
  
KUCHH KHABAR TO HOGI “AHSAAS†TUMHE 
LAGTA   HAI   AJNABI   AAINA   MUJHKO 

0 comments:

Post a Comment

About this blog