" wohi gardishen, wohi tere gham, tere baad bhi,

"  wohi gardishen, wohi tere gham, tere baad bhi, 
wohi hoslay mere dum ba dum, tere baad bhi,
tere sath hi teri har jafa mujhe moatbar,
tere saray gham mujhe mohtaram, tere baad bhi,
mere sath hi meri har khushi teri muntazir,
teri muntazir meri chasham-e-tar, tere baad bhi,
tu kisi or k qalb-e-aarzoo me dhal gaya,
mai na ho saka kabhi khud me zam, tere baad bhi,
mere baad kitne hi roop tu ne badal leye,
mai ab bhi wohi hun teri qasam, tere baad bhi, "

0 comments:

Post a Comment

About this blog