Aye ishq kahiin le chal is paap ki basti se


Aye ishq kahiin le chal is paap ki basti se
Nafrat gaye aalam se lanat gaye hasti se
In nafs parastoo se, is nafs parasti se
Door aor kahiin le chal
Aye ishq kahiin le chal
Hum prem pujari hain tu prem kanahiya hai
Tu prem kanahiya hai , ye prem ki naiiya hai
Ye prem ki naiiya hai , tu is ka khivaiiya hai
Kuch fikr nahi le chal
Aaye ishq kahiin le chal
Be rahm zamane ko ab chod rahe hain hum
Be dard zamane ko ab chod rahe hain hum
Jis aas pe jiite the, ab tod rahe hain hum
Ab taab nahi le chal
Aaye ishq kahiin le chal
Ye jabr kadah aazad afkaar ka dushman hai
Ahraar ka dushman hai , abraar ka dushman hai
Ashrar ka maskan hai , akhiyaar ka dushman hai
Chal yaan se kahiin le chal
Aaye ishq kahiin le chal
Aankhoo tale phirti hai ek khawab numa duniya
Taroon ki tarah roshan mehtaab numa duniya
Jannat ki si sar sabz aor shadab numa duniya
Lillah wahiin le chal
Aaye ishq kahiin le chal
Sansaar ke us paar ek is tarah ki basti ho
Jo qarno se insaan ki surat ko tarasti ho
Aor jis ke manazir per tanhaai barasti ho
Yun ho to wahi le chal
Aaye ishq kahiin le chal
In chand sitaroo ki bikhre shahroon mein
In nor ki kirnoo ki thahri hoii lahroon mein
Thahri hoii lahroon mein , soii hoi lahroon mein
Aaye khizr haseen le chal
Aaye ishq kahiin le chal
Aaisi bahot aaiin e wadi mein pahonch jaayen
Jis mein kabhi duniya ke gham dil ko na tadpayen
Aor jis ki baharoon mein jiine k maze paayen
Le chal tu wahiin le chal
Aaye ishq kahiin le chal 




0 comments:

Post a Comment

About this blog