AAN MILO SAJANA


AAN MILO SAJANA
Muddat ye beet gae tum nahi aay ab tak
Raasta or dikhaoo gay na janay kab tak
Jo bhi milta hai woh tum sa hi nazar aata hai

Dil ki tanhaeeyan bahlati hai yu bhi hum ko
Jasay saach mooch hi pokara ho tum hi nay hum ko
Pass aatay hi mager khab beekhar jata hai
Jo bhi milta hai woh tum sa hi nazar aata hai

Woh haseeen lamhay jo kal taak thaay muradoo ki tarha
Aaj palkoo pe chamak uthtay hain yaadon ki terha
Dard rah jata hai or waqt guzer jata hai
Jo bhi milta hai woh tum sa hi nazar aata hai

Bhajtay ho kabhi gul ko to kabhi shabnam ko
Tum kaha aasay ho malum hai har masam ko
Chand har shab ko tumharii hi khaber lata hai
Jo bhi milta hai woh tum sa hi nazar aata hai

0 comments:

Post a Comment

About this blog