gaiay dinoon ka suraagh lay kar kidhar say aaya kidhar gaya wo
ajeeb maanoos ajnabi thaa mujhay to hairaan kar gaya wo,
bas eik moti see chab dikhaa kay bas eik meethi see dhun sunaa kay
sitaara-e-shaam wo ban aaya barang-e-khuwaab-e-sehar gaya wo,
khushee ki rut ho kay gham ka mousam nazar usay dhoondtee hay har dam
wo boo-e-gul thaa kay naghma-e-jaan mairay dill mai utar gaya wo,
na ab wo yaadoon ka charhtaa daryaa na fursatoon ki udaas barkhaa
yoonhee zara see kasak hay dill main jo zakham tha gehraa bhar gaya wo,
kuch ab sanbhalnay lagee hay jaan bhee badal chalaa dour-e-aasmaan bhee
jo rat bhaaree thee tal gai hay jo din kara thaa guar gaya wo,
bas eik manzil hay boalhawis ki hazaar rastay hain ehal-e-dill kay
yehee to farq hay mujh main us main guzar gaya main thear gaya wo,
shikast-e-paa rah main kharaa hoon gaiay dinoon ko bulaa raha hoon
jo qafilaa mairaa hamsafar thaa misaal-e-gard-e-safar gaya wo,
mairaa to khoon hogaya hay paani sitamaroon ki palak na bheegi
jo nala uthaa thaa raat dill say najany kio bay asar gaya wo,
wo may kaday ko jaganay wala wo raat ki neend uraanay wala
yeh aaj kia us kay jee main aai kay shaam hotay he ghar gaya wo,
wo hijir ki raat ka sitaara wo ham nafas ham sukhan hamara
sada rahay rahay us ka naam piyaara suna hay kal raat mar gaya wo,
wo jis kay shaanay pay haath rakh kar safar kia toonay manziloon ka
tairee gali say najaanay kio aaj sar jhukaaiay guzara gaya wo,
wo raat ka bay nawa musafir wo tairaa shaair wo tairaa nasir
tairee gali tak to ham nay daikhaa phir najaanay kidhar gaya wo.
0 comments:
Post a Comment