MILA HAI DUNIYA SE HAR SILA MUJHKO
BAKHSH DE TANHAI YA KHUDA ! MUJHKO
HARF-HARF ZAROORI NASEEHAT HAI AGAR
NEEND MEIN CHALNA BHI TU SIKHA MUJHKO
SUNA GHAIRO(N) SE HI FASAANA TUMNE
APNI AANKHO(N) SE KAB PADAA MUJHKO
SAFFHAAT HAIN BAQI ZINDAGI KE ABHI
KASH ! FIR DE KOI RANG NAYAA MUJHKO
YE SACH TO HAI MAGAR WO BAAT AB NAHEEN
INTZAAR KABHI THA KISI KA MUJHKO
ADAA SHUKRIYA KAROON MEIN KAISE USKA
NEMATE(N) KI JISNE SAB ATAA MUJHKO
HARF-HARF ZAROORI SHIKAYAT TO NAHEEN
MILE HAMDAM KOI AB NAYAA MUJHKO
KAB,KAHAAN,KISLIYE,KYON,MAGAR,KAISE
HAR JUSTJOO KA DE HAUSLAA MUJHKO
KUCHH KHABAR TO HOGI “AHSAAS†TUMHE
LAGTA HAI AJNABI AAINA MUJHKO
0 comments:
Post a Comment