Ae Kash Koi Aesa To Hota
Ae Kash Koi Aesa To Hota
Jo La Deta Mere Khwab Sare
Jo Meri Sumandar Ankhon Se Chun Leta Azab Sare
Jis Ki Sangit Me Mujhe Apne Hone Ka Ehsas Hota
Mera Har Ansoo Us Ke Liye Azab Hota
Par Ae Nadan Dil Mujhe Paata Hai
Mera Wajud Kis Miti Se Bana Hai Mujh Ko Paata Hai
Mere Saare Gham Mere Hain
Yeh Tanhaian Bhi Meri Hain
In Sumandar Ankhon Ke Azab Bhi Mere Hain
Mera Har Ansoo Bhi Sirf Mera Hai
Izat Daro Kai Is Shehar Main
Yeh Izat Ka Janaza Bhi Mera Hai
Gaerat Kai In Darbaro Main
Yeh Chalni Wajud Bhi Mera Hai
Rasm Wa Rawaj Ke Is Kafs Main
Qaed Yeh Ruh Bhi Meri Hai
Mera Har Khwab Shisha Hai
Aur Yeh Insan Pathar Sare
Ae Kash Koi Aesa
0 comments:
Post a Comment