Na sahi gar mera khayal nahi,
Baat ko is qadar uchaal nahi
yeh to me ne bhula dia hai tujhe
is me tera koi kamal nahi
tu ne di muskra k sheh is ko
warna dil k mere majal nahi
hijr bhi do dilon ka rishta hai
is judai ka ab malal nahi
kyoun teri aankh me nami aayee
mera aisa bura to haal nahi
me kahin or reh nahi sakta
dekh dil se mujhay nikal nahi
mujh se agar rabta torna hai tujhay
mere tohfon ko youn sambhaal nahi
kaat de sar tujhe ijaazt hai
meri paghri magar uchaal nhi
yaad karne se saans rukti hai
bhool jana bhi kuch kamal nahi
pehle aadi nahi bnana tha
ab mujhay is tarha se taal nahi
maat khai hai jis se ab me ne
yeh mere dushmano ki chaal nahi
Is se bachna hai kis leye atif
yeh mohabbat koi wabbaal nahi
0 comments:
Post a Comment