Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha
Dast-e-katil bhi mujhy dast-e-HinA lgta tha
Ary daikhny waly to usy daikhty reh jaty thy
Han wo shaks mohabt ka JAAM lagta tha
kanton bhari shakh nazar aata tha kabi
Phool lagta tha kabi baad-e-saba lagta tha
Ab logon sy pochta phirta hai mare ghar ka pata
Main jisy sare zamany sy bura lgta tha
Us ki batein thin ravayat sy hat kar MOHSIN
Sub main rehta tha magar sub sy juda lgta tha.
0 comments:
Post a Comment